Sad Shayaris 2



Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne, 

taaki unpar koi ilzaam na aaye


Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain 



Milna itifaak tha bicharna naseeb tha,
Wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha,
Hum usko dekhne k liye taraste he rahe,
Jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha.



Kaash banane wale ne humein aansoo banaya hota,
Aur mehboob ki aankhon me basaya hota,
Jab girte unki aankh se unki god me,
Thoda marne ka maja bhi aaya hota.



Zindagi ki raho me jab aage aage jaaoge,
Peeche ek saaya tum hurdum paaoge,
Mudkar dekhoge to tanhaayi hogi,
Agar mehsoos karoge to humko paaoge.



Chaman ko chaman ki baharon ne loota,
sahil ko kishti aur kinaro ne loota,
aap to ek hi kasam se dar gaye,
hume to aapki kasam de kar hazaron ne loota.



Zuban hi sirf ek zaria nahi,
Jo aap lafzon ko samajh paayenge,
kabhi aankhon mein jhaank kar dekhiye,
Hazaro alfaz khud-ba-khud bikhar jayenge.


 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...